Zakham phir yaad puranay aye
Bar'ha un ko manaya tu humain
Rooth janay kay bahanay aye
Phir mujhay toot kay chaha uss nay
Phir bicharnay kay zamanay aye
Muskara kar humain milnay wallay
Zindagi bhar ko rulanay aye
Kitni mehroom theen neendain un kee
Khawb bhi jin ko jaganay aye
Teri chahat nay theharnay na diya
Raah mein kitnay thikaanay aye
Tu nahi hai tu hawa ka jhoonka
Ghar ke zanjeer hilanay aye
Dil bujha hai na jalay hain khaimay
Aap kiyon jashan mananay aye ?
Issi umeed pay jagoo yaroo !
Aab woh kis waqat na janay aye
Raas aya jinhain sehra *Mohsin*
Un ke kismat mein khazanay aye
0 comments:
Post a Comment